Aisa Bhi Nahin Us Se Mila De Koi Aa Kar
aisa bhi nahin us se mila de koi aa kar
kaisa hai wo itna to bata de koi aa kar
ye bhi to kisi man ka dulara koi hoga
is qabr pe bhi phul chaDha de koi aa kar
sukhi hain baDi der se palkon ki zabanen
bas aaj to ji bhar ke rula de koi aa kar
barson ki dua phir na kahin KHak mein mil jae
ye abr bhi aandhi na uDa de koi aa kar
ye koh ye sabza ye machalti hui nadiyan
mar jaun jo manzil ka pata de koi aa kar
har ghar pe hai aawaz har ek dar pe hai dastak
baiTha hun ki mujh ko bhi sada de koi aa kar
is KHwahish-e-nakaam ka KHun bhi mere sar hai
zinda hun ki is ki bhi saza de koi aa kar
(1208) Peoples Rate This