Aankhon Mein Aansuon Ko Ubharne Nahin Diya
aankhon mein aansuon ko ubharne nahin diya
miTTi mein motiyon ko bikharne nahin diya
jis rah par paDe the tere panw ke nishan
is rah se kisi ko guzarne nahin diya
chaha to chahaton ki hadon se guzar gae
nashsha mohabbaton ka utarne nahin diya
har bar hai naya tere milne ka zaiqa
aisa samar kisi bhi shajar ne nahin diya
ye hijr hai to is ka faqat wasl hai ilaj
hum ne ye zaKHm-e-waqt ko bharne nahin diya
itne baDe jahan mein jaega tu kahan
is ek KHayal ne mujhe marne nahin diya
sahil dikhai de to raha tha bahut qarib
kashti ko rasta hi bhanwar ne nahin diya
jitna sakun mila hai tere sath rah mein
itna sukun to mujhe ghar ne nahin diya
is ne hansi hansi mein mohabbat ki baat ki
main ne 'adim' us ko mukarne nahin diya
(1341) Peoples Rate This