Pyar Karte Raho
sab ki sunte raho
pyar karte raho
aur kuchh na kaho
chahe bolen na wo
lab ko kholen na wo
dil alag baat hai
apne lahja mein bhi
pyar gholen na wo
apna jo farz hai
is tarah ho ada
jaise ek qarz hai
koi jo kuchh kahe
us ki sunte raho
pyar karte raho
or kuch na kaho
be-KHayali mein hi
lab agar khul jaen
aur zaban par kabhi
koi sach aa gaya
yun samajh lun ki phir
silsile jitne the
darmiyan jo bhi tha
KHwab dekhe the jo
sab bikher jaenge
aisa karna nahin
sab ki sunna magar
tum bikharna nahin
masle sab ke sab
hain safed-o-siyah
masalon main kabhi
rang bharna nahin
dil mein gar pyar ho
lab pe iqrar ho
pyar hi pyar bus
harf-e-izhaar ho
gar ana ye kahe
dil na mil paenge
is pe mat jaiye
khoTi he ye ana
is se kuchh na bana
dil ki baaten suno
fasle se sahih
pyar karte raho
aur kuchh na kaho
rasta ek hai
muddaa ek hai
ek hamari hai kya
sari duniya ka hi
silsila ek hai
ek aae the hum
ek aae the tum
ek hai ye safar
bhiD kitni bhi ho
apni apni jagah
har koi ek hai
nam hain go juda
par KHuda ek hai
bus KHuda ki tarah
sab ki sunte raho
pyar karte raho
aur kuchh na kaho
kahne sunne se to
kuchh badalta nahin
raat jati nahin
din Thaharta nahin
hone wala hai kya
kuchh bhi khulta nahin
waqt kam hai bahut
itne kam waqt mein
jis qadar kar sako
pyar karte raho
aur kuchh na kaho
(4710) Peoples Rate This