Ye Zamini Bhi Hai Zamani Bhi
ye zamini bhi hai zamani bhi
fitrat-e-ishq aasmani bhi
shart hai jaan se jaiye pahle
hai ajab umr-e-jawedani bhi
tum ne jo dastan sunai hai
hai wahi to meri kahani bhi
kitne dilchasp lagne lagte hain
mere qisse teri zabani bhi
hain zaruri bahut hamare liye
ye faza aag aur pani bhi
ho gai KHatm ek kiran ke sath
raat bhi nind bhi kahani bhi
mat inhen jaaniye dar-o-diwar
in mein yaaden hain kuchh suhani bhi
in diwaron pe hi hui tahrir
mere man bap ki jawani bhi
hum jo ghar chhoD kar chale aae
the wo ajdad ki nishani bhi
la-makan hi ka zikr-e-KHair 'adil'
go hain qisse bahut makani bhi
(777) Peoples Rate This