Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_01c2720e4f5591a07096c16d91af1a1c, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Usko Jab Ki Mere Anjam Se Kuchh Kaam Nahin - Adeel Zaidi Poetry In English - Darsaal

Usko Jab Ki Mere Anjam Se Kuchh Kaam Nahin

us ko jab ki mere anjam se kuchh kaam nahin

mujh ko bhi ishq ke iqdam se kuchh kaam nahin

jazba-e-ishq na pahuncha saka jab main us tak

mujh ko ab nama-o-paigham se kuchh kaam nahin

ghar mein jis ke liye rahta tha wahi ab na raha

ab mujhe ghar ke dar-o-baam se kuchh kaam nahin

muntazir rahti thi har sham teri qurbat ki

tu nahin jab to mujhe sham se kuchh kaam nahin

ilm ka jam dar-e-ilm se milta hai mujhe

mujh ko to aur kisi jam se kuchh kaam nahin

(847) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Usko Jab Ki Mere Anjam Se Kuchh Kaam Nahin In English By Famous Poet Adeel Zaidi. Usko Jab Ki Mere Anjam Se Kuchh Kaam Nahin is written by Adeel Zaidi. Read famous Poem Usko Jab Ki Mere Anjam Se Kuchh Kaam Nahin for youth and Student by Adeel Zaidi. Free Download Usko Jab Ki Mere Anjam Se Kuchh Kaam Nahin in PDF.