Tu Jo Chahe Bhi To Sayyaad Nahin Hone Ke
tu jo chahe bhi to sayyaad nahin hone ke
lab hamare lab-e-fariyaad nahin hone ke
us ke kuche mein miyan KHak uDate kyun ho
tum se majnun to use yaad nahin hone ke
koi achchhi bhi KHabar kan mein aae yarab
aisi KHabron se to dil shad nahin hone ke
tu rahe hum se KHafa kitna hi chahe lekin
hum magar tujh se to nashad nahin hone ke
kar-e-duniya ko hain darkar hamari umren
kar-e-duniya se to aazad nahin hone ke
an-ginat jagte chehre gae miTTi ke tale
ab nae zulm to ijad nahin hone ke
ta-qayamat wahi ek nam rahega aabaad
hum kabhi mustaqil aabaad nahin hone ke
KHak ho jaenge ye to hai muqaddar apna
hum magar wo hain ki barbaad nahin hone ke
chahe namrud ho firaun ho ya ki ho yazid
sahab-e-shajra-o-aulad nahin hone ke
(844) Peoples Rate This