Sahra-o-dasht-o-sarw-o-saman Ka Sharik Tha
sahra-o-dasht-o-sarw-o-saman ka sharik tha
wo dard ki dawa tha dukhan ka sharik tha
wo kya samajh sakega mere ishq ka maqam
jo ruh ke safar mein badan ka sharik tha
dekhi na hum ne jis ki jabin par kabhi shikan
wo dil ki ek ek chubhan ka sharik tha
ek lamhe ko wo aaya tasawwur mein to laga
jaise wo sare din ki thakan ka sharik tha
KHamoshiyon se aaj hain hum mahw-e-guftugu
wo sath hi nahin jo suKHan ka sharik tha
allah us charagh ko raushan rakhe sada
jo tirgi mein pahli kiran ka sharik tha
sairab kar gaya kisi aangan ko jo 'adil'
wo meri pyas meri ghuTan ka sharik tha
(1046) Peoples Rate This