Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_16e83fc455acc4028f4ac4ca18d01949, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Qarz-e-jaan Se NimaT Rahi Hai Hayat - Adeel Zaidi Poetry In English - Darsaal

Qarz-e-jaan Se NimaT Rahi Hai Hayat

qarz-e-jaan se nimaT rahi hai hayat

us ki jaanib palaT rahi hai hayat

rafta rafta ghaTa chhaTe jaise

bas isi tarah chhaT rahi hai hayat

chehra pahchan tak nahin pati

gard mein itni aT rahi hai hayat

jaise suraj ghurub hota hai

phail kar yun simaT rahi hai hayat

kitne manzar hain ek manzar mein

kitne hisson mein baT rahi hai hayat

koi us ko baDha na paya 'adil'

lamha lamha jo ghaT rahi hai hayat

(816) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Qarz-e-jaan Se NimaT Rahi Hai Hayat In English By Famous Poet Adeel Zaidi. Qarz-e-jaan Se NimaT Rahi Hai Hayat is written by Adeel Zaidi. Read famous Poem Qarz-e-jaan Se NimaT Rahi Hai Hayat for youth and Student by Adeel Zaidi. Free Download Qarz-e-jaan Se NimaT Rahi Hai Hayat in PDF.