Jahan-e-ilm Ka Bab-e-nisab Hote Hue
jahan-e-ilm ka bab-e-nisab hote hue
bhaTak raha hun main ahl-e-kitab hote hue
kuchh aur bhi hai KHarabi ki dusri surat
main KHud ko dekh raha hun KHarab hote hue
jo kaam dil ko mere fitratan nahin bhate
unhen main kar nahin pata sawab hote hue
mere hi dam se hai jo kuchh bhi is jahan mein hai
main kaise KHud ko bhula dun janab hote hue
'adil' jo the in aankhon ki raushni kal tak
wo chehre dekh raha hun main KHwab hote hue
(1090) Peoples Rate This