Humne Thama Yaqin Ko Guman ChhoD Kar
hum ne thama yaqin ko guman chhoD kar
ek taraf ho gae darmiyan chhoD kar
dil na mana jien kahkashan chhoD kar
ja ke baste kahan KHandan chhoD kar
apna ghar chhoD kar bastiyan chhoD kar
be-aman ho gae hum aman chhoD kar
so gae beach mein dastan chhoD kar
hum alag ho gae karwan chhoD kar
kaise nadan the hum sab kahan aa gae
apne aabao-jad ke makan chhoD kar
sath chalte rahe ye na socha kabhi
kaun jaega kis ko kahan chhoD kar
aaj bhi muntazir hum wahin hain tere
kal gaya tha hamein to jahan chhoD kar
rah apni nikali to manzil mili
hum chale jada-e-rahbaran chhoD kar
hai ye malum gar jism-o-jaan se gae
sab chale jaenge mehrban chhoD kar
gar tumhaari tamanna hai daim raho
jao zehnon mein raushan nishan chhoD kar
tum to tanha hue jite-ji hi 'adil'
log jate hain tanha jahan chhoD kar
(826) Peoples Rate This