Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_15644d220bf6fb2dc0bc96438c846d23, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Hum Apna Aap LuTane Kahan Pe Aa Gae Hain - Adeel Zaidi Poetry In English - Darsaal

Hum Apna Aap LuTane Kahan Pe Aa Gae Hain

hum apna aap luTane kahan pe aa gae hain

KHud apni qadren ganwane kahan pe aa gae hain

dilon se dil mile rahte the ghurbaton mein miyan

shikam ki aag bujhane kahan pe aa gae hain

likha tha purkhon ne sadiyon mein jin ko mehnat se

wo sare shajre jalane kahan pe aa gae hain

jo chahte the rahe apni zat tak har baat

wo apne zaKHm dikhane kahan pe aa gae hain

zamin pe apni hi jal bujh ke KHak ho jate

hum apne dil ko jalane kahan pe aa gae hain

ye wo jagah hai jahan jism tak nahin chhupte

hum apne sar ko chhupane kahan pe aa gae hain

kisi bhi rishte ki izzat yahan nahin baqi

miyan ye aaj zamane kahan pe aa gae hain

ye sach hai ahd-e-taraqqi kiya tha KHud se 'adil'

magar ye ahd nibhane kahan pe aa gae hain

(789) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hum Apna Aap LuTane Kahan Pe Aa Gae Hain In English By Famous Poet Adeel Zaidi. Hum Apna Aap LuTane Kahan Pe Aa Gae Hain is written by Adeel Zaidi. Read famous Poem Hum Apna Aap LuTane Kahan Pe Aa Gae Hain for youth and Student by Adeel Zaidi. Free Download Hum Apna Aap LuTane Kahan Pe Aa Gae Hain in PDF.