Daraegi Bhala Kya Teri Gardish Aasman Mujhko
Daraegi bhala kya teri gardish aasman mujh ko
mila rab se dua-e-fatima ka saeban mujh ko
chali hai chhoD kar tu kyun bahaar-e-gulistan mujh ko
KHuda jaane kahan le jae ab baad-e-KHizan mujh ko
main shukr-e-rab ka qail hun hawa kaisi hi chalti ho
pata aasaniyon ka de gain hain saKHtiyan mujh ko
jala dunga husul-e-manzil-e-maqsud ki KHatir
jalani paD gain gar sari apni kashtiyan mujh ko
na sham-e-anjuman mein hun na parwanon ka mela hai
kahan tha main kahan le aai hai umr-e-rawan mujh ko
suna hai sab bhula baiThe 'adil'-e-dil-shikasta ko
na jaane aa rahi hain sham se kyun hichkiyan mujh ko
(870) Peoples Rate This