Bas Lamhe Bhar Mein Faisla Karna PaDa Mujhe
bas lamhe bhar mein faisla karna paDa mujhe
sab chhoD-chhaD ghar se nikalna paDa mujhe
jab apni sar-zamin ne mujh ko na di panah
anjaan wadiyon mein utarna paDa mujhe
panw mein aable the thakan umr bhar ki thi
rukna tha baiThna tha pa chalna paDa mujhe
apni parakh ke waste tufan ke darmiyan
mazbut kashtiyon se utarna paDa mujhe
teri ana ke hath mein the tere faisle
tu to badal na paya badalna paDa mujhe
be-intiha tazad tha donon ki soch mein
kuchh yun bhi raste ko badalna paDa mujhe
ye bhi hua ki ba-dil-e-na-KHwasta kabhi
zinda haqiqaton se mukarna paDa mujhe
yakja raha ek umr magar teri did ko
manind-e-musht-e-KHak bikharna paDa mujhe
aaghaz apne bas mein na anjam hi 'adil'
ek zindagi guzar ke marna paDa mujhe
(2134) Peoples Rate This