Naghma-e-ishq-e-butan Aur Zara Aahista
naghma-e-ishq-e-butan aur zara aahista
zikr-e-nazuk-badanan aur zara aahista
mere mahbub ki yaadon ke bhaDakte hain charagh
ai nasim-e-guzaran aur zara aahista
jis taraf se wo guzarte hain sada aati hai
ai qarar-e-dil-o-jaan aur zara aahista
dil har ek gam pe logon ne bichha rakkhe hain
aur ai sarw-e-rawan aur zara aahista
kucha-e-dost mein aahista-rawi ke ba-wasf
dil ye kahta hai yan aur zara aahista
un pe mauj-e-nafas-e-gul bhi giran guzre hai
pursish-e-gham-zadagan aur zara aahista
bandh kar ahd-e-wafa koi gaya hai mujh se
ai meri umr-e-rawan aur zara aahista
kam ibaadat se nahin zikr buton ka bhi 'aziz'
bare tausif-e-butan aur zara aahista
(1165) Peoples Rate This