Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_bhuh35l1r2hp9rsupo32he7cp4, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Mere Shauq-e-justuju Ka Kise Etibar Hota - Adeeb Saharanpuri Poetry In English - Darsaal

Mere Shauq-e-justuju Ka Kise Etibar Hota

mere shauq-e-justuju ka kise e'tibar hota

sar-e-rah manzilon tak na agar ghubar hota

main tujhe KHuda samajh kar na gunahgar hota

agar ek be-niyazi hi tera ashaar hota

jo sitam-zadon ka ya-rab koi gham-gusar hota

to gham-e-hayat itna na dilon pe bar hota

meri zindagi mein shamil jo na tera pyar hota

to nashat-e-do-jahan bhi mujhe nagawar hota

yahi mahr o mah o anjum ko gila hai mujh se ya-rab

ki unhen bhi chain milta jo mujhe qarar hota

na sukun-e-dil ki chahat mein taDap 'adib' itna

kisi aur ko tu milta jo kahin qarar hota

(853) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mere Shauq-e-justuju Ka Kise Etibar Hota In English By Famous Poet Adeeb Saharanpuri. Mere Shauq-e-justuju Ka Kise Etibar Hota is written by Adeeb Saharanpuri. Read famous Poem Mere Shauq-e-justuju Ka Kise Etibar Hota for youth and Student by Adeeb Saharanpuri. Free Download Mere Shauq-e-justuju Ka Kise Etibar Hota in PDF.