Kis Ki KHalwat Se Nikhar Kar Subh-dam Aati Hai Dhup
kis ki KHalwat se nikhar kar subh-dam aati hai dhup
kaun wo KHush-baKHt hai jis ki mulaqati hai dhup
didani hota hai do rangon ka is dam imtizaj
bundiyon ke ham-jilau ham-raqs jab aati hai dhup
tum to pyare chaDhte suraj ke parastaron mein the
kyun ho shikwa-sanj agar tan ko jala jati hai dhup
KHushbu-e-mahbus ko aazad karne ke liye
lakh ho sangin hisar-e-kohar dar aati hai dhup
is gali mein jaise us ka daKHila mamnua ho
yun dabe panw yahan aa kar guzar jati hai dhup
raat-bhar pahlu mein rahta hai munawwar aaftab
din se baDh kar apni garmi shab ko dikhlati hai dhup
dil KHushi se jhumta hai jab sar-e-diwar-e-yar
nim-wa dar se guzar kar sard ban jati hai dhup
raat pahlu mein achanak us ka chehra dekh kar
dil mein ye aaya tasawwur kitni lamhati hai dhup
barq ke dam se thi kal jis KHwab-gah mein mauj-e-nur
ab wahan bhi tarz-e-nau se jalwa dikhlati hai dhup
ai 'suhail' is mein nihan hai us ki mahbubi ka raaz
tab-e-mausam dekh kar fauran badal jati hai dhup
(680) Peoples Rate This