Saz-e-suKHan Bahana Hai
ghubar-e-subh-o-sham mein
tujhe to kya
main apna aks dekh lun main apna ism soch lun
nahin meri majal bhi
ki laDkhaDa ke rah gaya mera har ek sawal bhi
mera har ek KHayal bhi
main bhi be-qarar o KHasta-tan
bas ek sharar-e-ishq mera pairahan
mera nasib ek harf-e-arzu
wo ek harf-e-arzu
tamam umr sau tarah likhun
mera wajud ek nigah-e-be-sukun
nigah jis ke panw mein hain beDiyan paDi hui
(1724) Peoples Rate This