Main Saz DhunDti Rahi
ehsas-e-awwalin
ek mauhum iztirab sa hai
ek talatum sa pech-o-tab sa hai
umDe aate hain KHud-ba-KHud aansu
dil pe qabu na aankh par qabu
dil mein ek dard miTha miTha sa
rang chehre ka phika phika sa
zulf bikhri hui pareshan-haal
aap hi aap ji hua hai niDhaal
sine mein ek chubhan si hoti hai
aankhon mein kyun jalan si hoti hai
sar mein pinhan tasawwur-e-mauhum
hae ye aarzu-e-na-malum
ek nala sa hai baghair aawaz
ek halchal si hai na soz na saz
kyun ye haalat hai be-qarari ki
sans bhi khul ke aa nahin sakti
ruh mein intishaar sa kya hai
dil ko ye intizar sa kya hai
(1355) Peoples Rate This