Kyun
tum jo qatil na masiha Thahre
na ilaj-e-shab-e-hijran na gham-e-chaaragaran
na koi dushna-e-pinhan
na kahin KHanjar-e-sam-aluda
na qarib-e-rag-e-jaan
tum to us ahd ke insan ho jise
wadi-e-marg mein jine ka hunar aata tha
muddaton pahle bhi jab raKHt-e-safar bandha tha
hath jab dast-e-dua the apne
panw zanjir ke halqon se kaTe jate the
lafz taqsir the
aawaz pe taziren thin
tum ne masum jasarat ki thi
ek tamanna ki ibaadat ki thi
pa barahna the tumhaare
yahi bosida qaba thi tan par
aur yahi surKH lahu ke dhabbe
jinhen tahrir-e-gul-o-lala kaha tha tum ne
har nazzara pe nazzargi-e-jaan tum ko
har gali kucha-e-mahbub nazar aai thi
raat ko zulf se tabir kiya tha tum ne
tum bhala kyun rasan-o-dar tak aa pahunche ho
tum na mansur na isa Thahre
(1039) Peoples Rate This