Zaban Ko Hukm Nigah-e-karam Ko Pahchane
zaban ko hukm nigah-e-karam ko pahchane
nigah ka jurm ghubar-e-alam ko pahchane
wo ek jam kahan har kisi ki qismat mein
wo ek zarf ki eajaz-e-sam ko pahchane
mata-e-dard parakhna to bas ki baat nahin
jo tujh ko dekh ke aae wo hum ko pahchane
wo dil jo KHak hue aaj tak dhaDakte hain
rah-e-wafa tere mojiz-raqam ko pahchane
sahar se pahle yahan aaftab ubhre hain
KHulus bandgi-e-chashm-e-nam ko pahchane
ye KHud-fareb ujale ye hath hath diye
diye bujhao ki insan gham ko pahchane
kisi KHayal ka saya kisi umid ki dhup
koi to aae ki dil kaif-o-kam ko pahchane
hazar kos nigahon se dil ki manzil tak
koi qarib se dekhe to hum ko pahchane
jo ham-safar bhi rahe hain sharik-e-manzil bhi
kuchh ajnabi to na the phir bhi kam ko pahchane
bahut dinon to hawaon ka hum ne ruKH dekha
baDe dinon mein mata-e-qalam ko pahchane
(1366) Peoples Rate This