Wo Lamha Ki KHamoshi-e-shab Naghma-sara Thi
wo lamha ki KHamoshi-e-shab naghma-sara thi
kanon pe garan dil ke dhaDakne ki sada thi
jis moD pe chhoDi hai sahaaron ki tamanna
kahte hain baDa qahr wahi laghzish-e-pa thi
kyun aaj dhuan ban ke ufuq-ta-ba-ufuq hai
is sans mein kaliyon ke chaTakne ki sada thi
har lamha-e-betab ne DhunDi hain panahen
gunji thi KHamoshi teri aawaz to kya thi
har din ke sahife pe tera nam likha hai
har shab ki jabin tera nishan-e-kaf-e-pa thi
kya kahte ki honTon pe bas ek harf-e-wafa tha
kya kijiye har sans jo tazir-e-wafa thi
uThte hue dekha hai dhuan aatish-e-gul se
kya nikhat-e-barbaad jale dil ki dua thi
kya jaaniye marna bhi rawa hai ki nahin hai
takwin ke lab par mere jine ki dua thi
(968) Peoples Rate This