Wahi Na-saburi-e-arzu Wahi Naqsh-e-pa Wahi Jada Hai
wahi na-saburi-e-arzu wahi naqsh-e-pa wahi jada hai
koi sang-e-rah ko KHabar karo usi aastan ka irada hai
wahi ashk-e-KHun ke gulab hain wahi KHar KHar hai pairahan
na karam ki aas bujhi abhi na sitam ki dhup ziyaada hai
abhi raushni ki lakir si sar-e-rahguzar hai jaan-ba-lab
kisi dil ki aas miTi nahin kahin ek daricha kushada hai
tan-e-zaKHm zaKHm ko chhoD de mere chaaragar mere mehrban
dil-e-dagh dagh ka hausla teri marhamat se ziyaada hai
jo nazar bacha ke guzar gae to na aa sakoge palaT ke tum
baDi mohtaram hai ye bebasi ki KHulus-e-jaan ka libaada hai
yahi zindagi hai buri-bhali ye kashida sar ye barahna-pa
na ghubar-e-rah se muzmahil na sukun-e-jaan ka iada hai
mera iftiKHar wafa talak mujhe ras aa na saka 'ada'
tera nam jis par likha raha wo kitab aaj bhi sada hai
(911) Peoples Rate This