Taufiq Se Kab Koi Sarokar Chale Hai
taufiq se kab koi sarokar chale hai
duniya mein faqat tala-e-bedar chale hai
Thahrun to chaTanon si kaleje pe khaDi hai
jaun to mere sath hi diwar chale hai
har ghuncha baDe chaw se khilta hai chaman mein
har daur ka mansur sar-e-dar chale hai
rangon ki na KHushbu ki kami hai dil-o-jaan ko
tosha jo chale sath wo ek KHar chale hai
dil ke liye bas aankh ka mear bahut hai
jo sikka-e-jaan hai sar-e-bazar chale hai
hairat se shagufon ki jhapakti nahin aankhen
kis aan se kanTon ka KHaridar chale hai
KHurshid wahan hum ne sulagte hue dekhe
kirnon ka jis aashob mein bewpar chale hai
ek jumbish-e-mizhgan ki ijazat bhi nahin hai
dil sath chala hai ki sitamgar chale hai
the KHizr bhi lakhon yahan isa bhi bahut the
aazar jo dil ka hai so aazar chale hai
(998) Peoples Rate This