Na Baam-o-dasht Na Dariya Na Kohsar Mile
na baam-o-dasht na dariya na kohsar mile
junun ki rah thi haalat sazgar mile
labon pe harf-e-shikayat bhi aa ke TuT gaya
wo KHud figar the jo hath sang-bar mile
udhar fasil-e-shab-e-gham idhar hai shahr-e-panah
saba se kahiyo wahin aa ke ek bar mile
ye bebasi to mere ahd ka muqaddar thi
dilon ko dagh-e-tamanna bhi mustaar mile
hatheliyon pe charagh-e-dua sajae hue
mile nigar-e-bahaaran to sharmsar mile
koi to rah-e-tamanna mein ham-safar hota
koi to ku-e-wafa mein KHata-shiar mile
mohabbaton se to pahle hi kya tawaqqo thi
murawwaton ke bhi daman tar tar mile
main kaise apne KHadd-o-KHal aaj pahchanun
jo aaina mile aaluda-e-ghubar mile
meri talab ki ye mearaj hai ki ijz 'ada'
jidhar se guzrun wahi ek rahguzar mile
(845) Peoples Rate This