Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_438ce3a744277163932ac820a6bc135a, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Kya Jaaniye Kis Baat Pe Maghrur Rahi Hun - Ada Jafri Poetry In English - Darsaal

Kya Jaaniye Kis Baat Pe Maghrur Rahi Hun

kya jaaniye kis baat pe maghrur rahi hun

kahne ko to jis rah chalaya hai chali hun

tum pas nahin ho to ajab haal hai dil ka

yun jaise main kuchh rakh ke kahin bhul gai hun

phulon ke kaToron se chhalak paDti hai shabnam

hansne ko tere pichhe bhi sau bar hansi hun

tere liye taqdir meri jumbish-e-abru

aur main tera ima-e-nazar dekh rahi hun

sadiyon se mere panw tale jannat-e-insan

main jannat-e-insan ka pata puchh rahi hun

dil ko to ye kahte hain ki bas qatra-e-KHun hai

kis aas pe ai sang-e-sar-e-rah chali hun

jis hath ki taqdis ne gulshan ko sanwara

us hath ki taqdir pe aazurda rahi hun

qismat ke khilaune hain ujala ki andhera

dil shoala-talab tha so bahar-haal jali hun

(1103) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kya Jaaniye Kis Baat Pe Maghrur Rahi Hun In English By Famous Poet Ada Jafri. Kya Jaaniye Kis Baat Pe Maghrur Rahi Hun is written by Ada Jafri. Read famous Poem Kya Jaaniye Kis Baat Pe Maghrur Rahi Hun for youth and Student by Ada Jafri. Free Download Kya Jaaniye Kis Baat Pe Maghrur Rahi Hun in PDF.