KanTa Sa Jo Chubha Tha Wo Lau De Gaya Hai Kya
kanTa sa jo chubha tha wo lau de gaya hai kya
ghulta hua lahu mein ye KHurshid sa hai kya
palkon ke bich sare ujale simaT gae
saya na sath de ye wahi marhala hai kya
main aandhiyon ke pas talash-e-saba mein hun
tum mujh se puchhte ho mera hausla hai kya
sagar hun aur mauj ke har daere mein hun
sahil pe koi naqsh-e-qadam kho gaya hai kya
sau sau tarah likha to sahi harf-e-arzu
ek harf-e-arzu hi meri intiha hai kya
ek KHwab-e-dil-pazir ghani chhanw ki tarah
ye bhi nahin to phir meri zanjir-e-pa hai kya
kya phir kisi ne qarz-e-murawwat ada kiya
kyun aankh be-sawal hai dil phir dukha hai kya
(837) Peoples Rate This