Kahte Hain Ki Ab Humse KHata-kar Bahut Hain
kahte hain ki ab hum se KHata-kar bahut hain
ek rasm-e-wafa thi so wafadar bahut hain
lahje ki khanak ho ki nigahon ki sadaqat
yusuf ke liye misr ke bazar bahut hain
kuchh zaKHm ki rangat mein gul-e-tar ke qarin the
kuchh naqsh ki hain naqsh-ba-diwar bahut hain
rahon mein koi aabla-pa ab nahin milta
raste mein magar qafila-salar bahut hain
ek KHwab ka ehsan bhi uThae nahin uThta
kya kahiye ki aasuda-e-azar bahut hain
kyun ahl-e-wafa zahmat-e-bedad-nigahi
jine ke liye aur bhi aazar bahut hain
har jazb-e-betab ke ahkaam hazaron
har lamha-e-be-KHwab ke israr bahut hain
palkon talak aa pahunche na kirnon ki tamazat
ab tak to 'ada' aaina-bardar bahut hain
(1251) Peoples Rate This