Jab Dil Ki Rahguzar Pe Tera Naqsh-e-pa Na Tha
jab dil ki rahguzar pe tera naqsh-e-pa na tha
jine ki aarzu thi magar hausla na tha
aage harim-e-gham se koi rasta na tha
achchha hua ki sath kisi ko liya na tha
daman-e-chaak chaak-gulun ko bahana tha
warna nigah-o-dil mein koi fasla na tha
kuchh log sharmsar KHuda jaane kyun hue
un se to ruh-e-asr hamein kuchh gila na tha
jalte rahe KHayal barasti rahi ghaTa
han naz-e-agahi tujhe kya kuchh rawa na tha
sunsan dopahar hai baDa ji udas hai
kahne ko sath sath hamare zamana tha
har aarzu ka nam nahin aabru-e-jaan
har tishna-lab jamal-e-ruKH-e-karbala na tha
aandhi mein barg-e-gul ki zaban se 'ada' hua
wo raaz jo kisi se abhi tak kaha na tha
(855) Peoples Rate This