HonTon Pe Kabhi Un Ke Mera Nam Hi Aae
honTon pe kabhi un ke mera nam hi aae
aae to sahi bar-sar-e-ilzam hi aae
hairan hain lab-basta hain dil-gir hain ghunche
KHushbu ki zabani tera paigham hi aae
lamhat-e-masarrat hain tasawwur se gurezan
yaad aae hain jab bhi gham-o-alam hi aae
taron se saja lenge rah-e-shahr-e-tamanna
maqdur nahin subh chalo sham hi aae
kya rah badalne ka gila ham-safaron se
jis rah se chale tere dar-o-baam hi aae
thak-haar ke baiThe hain sar-e-ku-e-tamanna
kaam aae to phir jazba-e-nakaam hi aae
baqi na rahe sakh 'ada' dasht-e-junun ki
dil mein agar andesha-e-anjam hi aae
(2421) Peoples Rate This