Har Ek Daricha Kiran Kiran Hai Jahan Se Guzre Jidhar Gae Hain
har ek daricha kiran kiran hai jahan se guzre jidhar gae hain
hum ek diya aarzu ka le kar ba-tarz-e-shams-o-qamar gae hain
jo meri palkon se tham na pae wo shabnamin mehrban ujale
tumhaari aankhon mein aa gae to tamam raste nikhar gae hain
wo dur kab tha harim-e-jaan se ki lafz o mani ke naz uThati
jo harf honTon pe aa na pae wo ban ke KHushbu bikhar gae hain
jo dard isa-nafas na hota to dil pe kya e'tibar aata
kuchh aur paiman kuchh aur paikan ki zaKHm jitne the bhar gae hain
KHazine jaan ke luTane wale dilon mein basne ki aas le kar
suna hai kuchh log aise guzre jo ghar se aae na ghar gae hain
jab ek nigah se KHarash aai zamane bhar se gila hua hai
jo dil dukha hai to ranj sare na jaane kis kis ke sar gae hain
shikast-e-dil tak na baat pahunchi magar 'ada' kah sako to kahna
ki ab ke sawan dhanak se aanchal ke rang sare utar gae hain
(1342) Peoples Rate This