Gulon Ko Chhu Ke Shamim-e-dua Nahin Aai
gulon ko chhu ke shamim-e-dua nahin aai
khula hua tha daricha saba nahin aai
hawa-e-dasht abhi to junun ka mausam tha
kahan the hum teri aawaz-e-pa nahin aai
abhi sahifa-e-jaan par raqam bhi kya hoga
abhi to yaad bhi be-saKHta nahin aai
hum itni dur kahan the ki phir palaT na saken
sawad-e-shahr se koi sada nahin aai
suna hai dil bhi nagar tha rasa basa bhi tha
jala to aanch bhi ahl-e-wafa nahin aai
na jaane qafile guzre ki hai qayam abhi
abhi charagh bujhane hawa nahin aai
bas ek bar manaya tha jashn-e-mahrumi
phir is ke baad koi ibtila nahin aai
hatheliyon ke gulabon se KHun rista raha
magar wo shoKHi-e-rang-e-hina nahin aai
ghayur dil se na mangi gai murad 'ada'
barasne aap hi kali ghaTa nahin aai
(877) Peoples Rate This