Achanak Dilruba Mausam Ka Dil-azar Ho Jaana
achanak dilruba mausam ka dil-azar ho jaana
dua aasan nahin rahna suKHan dushwar ho jaana
tumhein dekhen nigahen aur tum ko hi nahin dekhen
mohabbat ke sabhi rishton ka yun nadar ho jaana
abhi to be-niyazi mein taKHatub ki si KHushbu thi
hamein achchha laga tha dard ka dildar ho jaana
agar sach itna zalim hai to hum se jhuT hi bolo
hamein aata hai patjhaD ke dinon gul-bar ho jaana
abhi kuchh an-kahe alfaz bhi hain kunj-e-mizhgan mein
agar tum is taraf aao saba-raftar ho jaana
hawa to ham-safar Thahri samajh mein kis tarah aae
hawaon ka hamari rah mein diwar ho jaana
abhi to silsila apna zamin se aasman tak tha
abhi dekha tha raaton ka sahar-asar ho jaana
hamare shahr ke logon ka ab ahwal itna hai
kabhi aKHbar paDh lena kabhi aKHbar ho jaana
(967) Peoples Rate This