Aankhon Mein Rup Subh Ki Pahli Kiran Sa Hai
aankhon mein rup subh ki pahli kiran sa hai
ahwal ji ka zulf-e-shikan-dar-shikan sa hai
kuchh yaadgar apni magar chhoD kar gain
jati ruton ka haal dilon ki lagan sa hai
aankhen baras gain to nikhaar aur aa gaya
yaadon ka rang bhi to gul-o-yasman sa hai
kis moD par hain aaj hum ai rahguzar-e-naz
ab dard ka mizaj kisi ham-suKHan sa hai
hai ab bhi rang rang-e-tamanna ka pairahan
KHwabon ke sath ab bhi wahi husn-e-zan sa hai
kin manzilon luTe hain mohabbat ke qafile
insan zamin pe aaj gharib-ul-watan sa hai
wo jis ka sath chhoD chuka naz-e-agahi
ab bhi talash-e-rah mein wahi rahzan sa hai
shaKHon ka rang-rup KHizan le gai magar
andaz aaj bhi wahi arbab-e-fan sa hai
KHushbu ke thamne ko baDhae hain hath 'ada'
daman-e-arzu bhi saba-pairahan sa hai
(888) Peoples Rate This