Tajdid-e-riwayat-e-kuhan Karte Rahenge
tajdid-e-riwayat-e-kuhan karte rahenge
sar marka-e-dar-o-rasan karte rahenge
wo daur-e-KHizan ho ki bahaaron ka zamana
hum yaad tujhe jaan-e-chaman karte rahenge
rangin tere zikr se hum sher o suKHan ko
ai jaan-e-suKHan markaz-e-fan karte rahenge
is aabla-pai pe bhi hum teri talab mein
tai jada-e-alam-o-mehan karte rahenge
duniya hamein diwana samajhti hai to samjhe
hum aam gham-e-dil ka chalan karte rahenge
jalte hain jise sun ke andhere ke parastar
hum aam wahi tarz-e-suKHan karte rahenge
gulshan mein na hum honge to phir sog hamara
gul-pairahan o ghuncha-dahan karte rahenge
'zahid' be-taqaza-e-wafa tarah-e-yaqin par
hum koshish-e-tamir-e-watan karte rahenge
(1365) Peoples Rate This