Qafas Se ChhuTne Pe Shad The Hum Ki Lazzat-e-zindagi Milegi
qafas se chhuTne pe shad the hum ki lazzat-e-zindagi milegi
ye kya KHabar thi bahaar-e-gulshan lahu mein Dubi hui milegi
jin ahl-e-himmat ke raston mein bichhae jate hain aaj kanTe
unhi ke KHun-e-jigar se rangin chaman ki har ek kali milegi
wo din bhi the jab andheri raaton mein bhi qadam rah-e-rast par the
aur aaj jab raushni mili hai to zist bhaTki hui milegi
nai sahar ke hasin suraj tujhe gharibon se wasta kya
jahan ujala hai sim-o-zar ka wahin teri raushni milegi
kabhi to nasl-o-watan-parasti ki tirgi ko shikast hogi
kabhi to sham-e-alam miTegi kabhi to subh-e-KHushi milegi
wo hum nahin hain ki sirf apne hi ghar mein shamen jala ke baiThen
wahan wahan raushni karenge jahan jahan tirgi milegi
talash-e-manzil ka azm-e-mohkam dalil-e-manzil-rasi hai 'zahid'
qadam to apne baDhao aage khuli hui rah bhi milegi
(1272) Peoples Rate This