Nai Subh Chahte Hain Nai Sham Chahte Hain
nai subh chahte hain nai sham chahte hain
jo ye roz o shab badal de wo nizam chahte hain
wahi shah chahte hain jo ghulam chahte hain
koi chahta hi kab hai jo awam chahte hain
isi baat par hain barham ye sitamgaran-e-alam
ki jo chhin gaya hai hum se wo maqam chahte hain
kise harf-e-haq sunaun ki yahan to us ko sunna
na KHawas chahte hain na awam chahte hain
ye nahin ki tu ne bheja hi nahin payam koi
magar ek wahi na aaya jo payam chahte hain
teri rah dekhti hain meri tishna-kaam aankhen
tere jalwe mere ghar ke dar-o-baam chahte hain
wo kitab-e-zindagi hi na hui murattab ab tak
ki hum intisab jis ka tere nam chahte hain
na murad hogi puri kabhi un shikariyon ki
mujhe dekhna jo 'zahid' tah-e-dam chahte hain
(2510) Peoples Rate This