Har Ehtimam Hai Do Din Ki Zindagi Ke Liye
har ehtimam hai do din ki zindagi ke liye
sukun-e-qalb nahin phir bhi aadmi ke liye
tamam umr KHushi ki talash mein guzri
tamam umr taraste rahe KHushi ke liye
na kha fareb wafa ka ye bewafa duniya
kabhi kisi ke liye hai kabhi kisi ke liye
ye daur-e-shams-o-qamar ye farogh-e-ilm-o-hunar
zamin phir bhi tarasti hai raushni ke liye
kabhi uThe the jo KHurshid-e-zindagi ban kar
taras rahe hain wo taron ki raushni ke liye
sitam-taraazi-e-daur-e-KHirad KHuda ki panah
ki aadmi hi musibat hai aadmi ke liye
rah-e-hayat ki tarikiyon mein ai 'zahid'
charagh-e-dil hai mere pas raushni ke liye
(1592) Peoples Rate This