Kyun Asir-e-gesu-e-KHam-dar-e-qatil Ho Gaya
kyun asir-e-gesu-e-KHam-dar-e-qatil ho gaya
hae kya baiThe-biThae tujh ko ai dil ho gaya
koi nalan koi giryan koi bismil ho gaya
us ke uThte hi digar-gun rang-e-mahfil ho gaya
intizar us gul ka is darja kya gulzar mein
nur aaKHir dida-e-nargis ka zail ho gaya
us ne talwaren lagain aise kuchh andaz se
dil ka har arman fida-e-dast-e-qatil ho gaya
qais-e-majnun ka tasawwur baDh gaya jab najd mein
har bagula dasht ka laila-e-mahmil ho gaya
ye bhi qaidi ho gaya aaKHir kamand-e-zulf ka
le asiron mein tere 'azad' shamil ho gaya
(1136) Peoples Rate This