Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_f8430ac33ee553aa721a4b98f61aee95, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Ye Ek Aur Humne Qarina Kiya - Abul Hasanat Haqqi Poetry In English - Darsaal

Ye Ek Aur Humne Qarina Kiya

ye ek aur hum ne qarina kiya

dar-e-yar tak dil ko zina kiya

badal di hai sab surat-e-ab-o-KHak

magar jab lahu ko pasina kiya

wo kashti se dete the manzar ki dad

so hum ne bhi ghar ko safina kiya

kahan hum tak aaya koi raaz-ju

kahan hum ne dil ko dafina kiya

faqiron ka ye bhi tilismat hai

lahu-rang ko aabgina kiya

chamakne laga phir gham-e-raegan

magar ek jab zaKHm-o-sina kiya

(745) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Ek Aur Humne Qarina Kiya In English By Famous Poet Abul Hasanat Haqqi. Ye Ek Aur Humne Qarina Kiya is written by Abul Hasanat Haqqi. Read famous Poem Ye Ek Aur Humne Qarina Kiya for youth and Student by Abul Hasanat Haqqi. Free Download Ye Ek Aur Humne Qarina Kiya in PDF.