Tamam Hijr Usi Ka Visal Hai Us Ka
tamam hijr usi ka visal hai us ka
main ji raha hun magar jaan o mal hai us ka
wo zina zina utarne lage to sab bujh jae
wo baam par hai to sab mah-o-sal hai us ka
main qatl ho ke bhi sharminda apne-ap se hun
ki is ke baad to sara zawal hai us ka
ugal rahi hain KHazane khuli hui aankhen
KHabar karo ki ye sar paemal hai us ka
hazar sal se hun tishna-e-sawal-o-jawab
main itna pyasa hun sona muhaal hai us ka
uThae hath to angDai istiara bane
wo tab-o-tab hai ki har dil ghazal hai us ka
qadam qadam shajar-e-saya-dar paida hai
ki mere sath safar mein KHayal hai us ka
wo le ke aaya hai apni sarisht mein shabnam
safar bhi jaanib-e-baad-e-shimal hai us ka
nigah uTThe to shaista-e-junun ho jaen
hawas ko said kare wo jamal hai us ka
KHabar nahin thi ki yun us mein Dub jaenge
hamare chehre pe rang-e-malal hai us ka
kabhi kabhi to baDe zor se dhaDakta hai
ye mera dil nahin koi kamal hai us ka
jo aaya hijr ka mausam to kya karenge hum
jo tajrabe mein nahin wo sawal hai us ka
(921) Peoples Rate This