Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_cff3eca1e22c3483b514b33c50869eb6, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Shab Ko Har Rang Mein Sailab Tumhaara Dekhen - Abul Hasanat Haqqi Poetry In English - Darsaal

Shab Ko Har Rang Mein Sailab Tumhaara Dekhen

shab ko har rang mein sailab tumhaara dekhen

aankh khul jae to dariya na kinara dekhen

dasht-e-aghosh mein ram-KHurda chikara dekhen

ye hasin KHwab bhi ek roz qazara dekhen

jaane kya surat-e-haalat raqam thi us mein

jo waraq chaak hua us ko dobara dekhen

nind aae bhi to tasbih-e-badan karte hue

aur phir sath uThen subh ka tara dekhen

dekhte dekhte gum hogae jal-thal se wo log

aish ko chaak karen dard ko pyara dekhen

(780) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Shab Ko Har Rang Mein Sailab Tumhaara Dekhen In English By Famous Poet Abul Hasanat Haqqi. Shab Ko Har Rang Mein Sailab Tumhaara Dekhen is written by Abul Hasanat Haqqi. Read famous Poem Shab Ko Har Rang Mein Sailab Tumhaara Dekhen for youth and Student by Abul Hasanat Haqqi. Free Download Shab Ko Har Rang Mein Sailab Tumhaara Dekhen in PDF.