Dil Ko Hum Dariya Kahen Manzar-nigari Aur Kya
dil ko hum dariya kahen manzar-nigari aur kya
pursish-e-ahwal-e-aqa kam-ayari aur kya
apne manzar se alag hota nahin hai koi rang
apni aankhon ke siwa baad-e-bahaari aur kya
hum bhi kuchh kahte par us ki guftugu ka silsila
KHatm hota hi nahin hai hoshiyari aur kya
sab uTha kar le gain meri junun-samaniyan
ab sataegi hamein be-aKHtyari aur kya
meri wahshat bhi sakun-na-ashna meri tarah
mere qadmon se bandhi hai zimmedari aur kya
is ziyan-KHane mein milti hi nahin dad-e-firaq
zabt ka paigham degi sogwari aur kya
ji mein aa jae to hum bhi muskura kar dekh len
aankh phir pahron na kholen shahryari aur kya
'haqqai'-e-bechaara aaKHir thak-thaka kar so gaya
apne zaKHmon ki wo karta parda-dari aur kya
(867) Peoples Rate This