Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_cf3940fdb397cf674afcc3a51189c6b0, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Be-niyaz-e-dahr Kar Deta Hai Ishq - Abul Hasanat Haqqi Poetry In English - Darsaal

Be-niyaz-e-dahr Kar Deta Hai Ishq

be-niyaz-e-dahr kar deta hai ishq

be-zaron ko lal-o-zar deta hai ishq

kam-nihad o be-sabaat insan mein

jaane kya kya jama kar deta hai ishq

kaun jaane is ki ulTi mantiqen

TuTe hathon mein sipar deta hai ishq

pahle kar deta hai sab aalam siyah

aur phir apni KHabar deta hai ishq

jaan dena khelte hanste hue

qatl hone ka hunar deta hai ishq

kaT girin aur phir bhi qaem hain safen

kitne bazu kitne sar deta hai ishq

sar-barahna hain ana-gumbad jo the

aandhiyon se sar ko bhar deta hai ishq

dard-mandi par jo qaem hain unhen

noor-afza chashm-e-tar deta hai ishq

ek bojhal raat kaT jaane ke baad

ek lamhe ko sahar deta hai ishq

ye samajh tum ko bhi hogi sahibo

dil ko kyun shoalon pe dhar deta hai ishq

chal nikalne ka irada bandhiye

dekhiye samt-e-safar deta hai ishq

dhum hai jis ki KHayam-e-hur mein

aabru ka wo guhar deta hai ishq

(827) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Be-niyaz-e-dahr Kar Deta Hai Ishq In English By Famous Poet Abul Hasanat Haqqi. Be-niyaz-e-dahr Kar Deta Hai Ishq is written by Abul Hasanat Haqqi. Read famous Poem Be-niyaz-e-dahr Kar Deta Hai Ishq for youth and Student by Abul Hasanat Haqqi. Free Download Be-niyaz-e-dahr Kar Deta Hai Ishq in PDF.