Tegh-e-jafa Ko Teri Nahin Imtihan Se Rabt
tegh-e-jafa ko teri nahin imtihan se rabt
meri subuk-sari ko hai bar-e-garan se rabt
duniya ko hum se kaam na duniya se hum ko kaam
KHatir se teri rakhte hain sare-jahan se rabt
uDte hi gard jati hai jo su-e-asman
hai kuchh na kuchh zamin ko bhi aasman se rabt
izhaar-e-haal ke liye surat sawal hai
hai guftugu se kaam na hum ko zaban se rabt
chashme ki tarah rahti hain jari mudam ye
aankhon ko ho gaya hai jo aab-e-rawan se rabt
be-rabtiyon ne 'qadr' miTai jo rabt ki
hai gosht ko bhi apne na ab ustuKHwan se rabt
(774) Peoples Rate This