Koh-e-gham Se Kya Gharaz Fikr-e-butan Se Kya Gharaz
koh-e-gham se kya gharaz fikr-e-butan se kya gharaz
ai subuk-rui tujhe bar-e-garan se kya gharaz
be-nishani-e-mohabbat ko nishan se kya gharaz
ai yaqin-e-dil tujhe wahm-o-guman se kya gharaz
nala-e-be-saut KHud banne laga mohr-e-sukut
be-zabani ko hamari ab zaban se kya gharaz
jauhar-e-zati hain us ki teziyan ai sang-dil
tegh-e-abru ko teri sang-e-fasan se kya gharz
jab mohabbat mein hui ruswai apni parda-dar
raaz se phir kya talluq raaz-dan se kya gharaz
jaan de kar zinda-e-jawed ho jata hai wo
maut ke KHwahan ko umr-e-jawedan se kya gharaz
main ye kahta hun ki donon mein zaruri lag hai
wo ye kahte hain zamin ko aasman se kya gharaz
dahr mein jo kuchh bhi hona tha wo ho kar hi raha
ab guzishta wardaton ke bayan se kya gharaz
jis mein qudrat KHud nishane par pahunch jaane ki ho
'qadr' phir us tir ko sai-e-kaman se kya gharaz
(756) Peoples Rate This