KHamosh Is Tarah Se Na Jal Kar Dhuan UTha
KHamosh is tarah se na jal kar dhuan uTha
ai shama kuchh to bol kabhi to zaban uTha
but ban ke chupke fitne na yun meri jaan uTha
munh mein agar zaban hai to lutf-e-zaban uTha
hai koson dur manzil-e-anjam-e-guftugu
tezi ke sath apne qadam ai zaban uTha
Dar hai yahi ki kashti-e-mazmun na Dub jae
rah rah ke itni maujen na bahr-e-zaban uTha
ab daur mein hai rindon ke paimana-e-kalam
phir aa gai bahaar phir abr-e-zaban uTha
kar is qadar na zauq-e-takallum ko sharmsar
apna sar-e-niyaz kabhi to zaban uTha
kahta hai 'qadr' dekh ke tere sukut ko
kuchh faeda kalam se bhi ai zaban uTha
(809) Peoples Rate This