Hai Aam Azal Hi Se Faizan Mohabbat Ka
hai aam azal hi se faizan mohabbat ka
imkan musallam hai imkan mohabbat ka
toDa nahin ja sakta paiman mohabbat ka
nuqsan KHud apna hai nuqsan mohabbat ka
phir un ki nigahon se Takrai meri nazren
phir baDhne laga dil mein tufan mohabbat ka
ek ek tamanna mein lakhon hain tamannaen
armanon ki duniya hai arman mohabbat ka
is waste muslim ki fitrat mein mohabbat hai
deta hai sabaq us ko quran mohabbat ka
barbaad-e-mohabbat ki haalat hai ajab haalat
hai be-sar-o-samani saman mohabbat ka
jazbaat mohabbat ke main lakh chhupata hun
karti hain meri nazren elan mohabbat ka
goya mere sine mein mizan-e-mohabbat hai
yun dil mein jigar mein hai paikan mohabbat ka
wo nur ka partaw hai ya husn ka partaw hai
hai din mohabbat ka iman mohabbat ka
jo dard ka hamil hai wo zauq mein kaamil hai
behis ko nahin hota iqan mohabbat ka
ijmal ye be-shak hai tafsil ka aaina
mazmun pe hawi hai unwan mohabbat ka
hain us ke tasawwur ko ghere hue arman sab
rahta hai faqiron mein sultan mohabbat ka
aati hai nazar us mein iKHlas ki har surat
aaina hai aaina insan mohabbat ka
nairang mohabbat ka har sher se zahir hai
hai 'qadr' ka diwan bhi diwan mohabbat ka
(908) Peoples Rate This