Ye Bandagi Ka Sada Ab Saman Rahe Na Rahe
ye bandagi ka sada ab saman rahe na rahe
sar-e-niyaz jhuke aastan rahe na rahe
tere KHayal mein main hun mere KHayal mein tu
mere baghair teri dastan rahe na rahe
kise KHabar hai ki har gham mein hai KHushi pinhan
gham-e-habib salamat ye jaan rahe na rahe
nigah KHamosh takallum ki raazdan hogi
huzur-e-dost ye goya zaban rahe na rahe
hamari lash gulistan mein dafn kar sayyaad
chaman se dur koi nauha-KHwan rahe na rahe
wo mujh se is liye kahte hain apne raaz ki baat
ki mere baad koi raazdan rahe na rahe
sada unhon ne anal-haq ki is liye di thi
sada dahan mein tumhaari zaban rahe na rahe
main aaj is liye karta hun ehtiram apna
hamesha KHud pe tumhaara guman rahe na rahe
usi ke ishq mein miT kar ke ho gae 'wasil'
sabaat usi ko hai apna nishan rahe na rahe
(805) Peoples Rate This