Tasawwuraat Mein Inko Bula Ke Dekh Liya
tasawwuraat mein in ko bula ke dekh liya
zamane bhar ki nazar se chhupa ke dekh liya
fasana-e-gham-e-furqat suna ke dekh liya
unhon ne sirf mujhe muskura ke dekh liya
kabhi kisi ne sar-e-tur ja ke dekh liya
kabhi kisi ne kisi ko bula ke dekh liya
nigah-e-parda-kusha ka kamal kya kahna
jahan jahan wo chhupe us ne ja ke dekh liya
kaha tha un ko na bulwao wo na aaenge
hamari baat na mani bula ke dekh liya
ye kis ke waste aansu bahae jate hain
tumhein kisi ne jo us waqt aa ke dekh liya
kisi ne bhi na diya sath marne wale ka
har ek rafiq pe sab kuchh luTa ke dekh liya
mizaj-e-husn to ek haal par raha qaem
luTane walon ne sab kuchh luTa ke dekh liya
KHushi ki baat hai nikli to hasrat-e-didar
karam-nawaz ko sab kuchh luTa ke dekh liya
rumuz-e-husn junun-ashna rahe warna
KHirad pukarti jalwe KHuda ke dekh liya
ghurur-e-husn ki KHuddariyan KHud aa na saka
shua-e-husn ko markaz pe la ke dekh liya
kabhi na tum ne mizaj-e-dil-e-hazin puchha
bas ab muaf karo aazma ke dekh liya
kahin Thikana nahin hum qafas-nasibon ka
chaman mein rah ke nasheman bana ke dekh liya
wafa-shiar wafaon se baz aa na sake
unhon ne KHwab unhen aazma ke dekh liya
siwae aap ke koi na ban saka apna
har ek shaKHs ko apna bana ke dekh liya
tum aa gae dam-e-aKHir baDa kiya ehsan
KHata muaf jo tum ko bula ke dekh liya
jo dil se aae zaban par wo raaz raaz kahan
jo raazdan the unhen bhi bata ke dekh liya
janaza dekh ke 'wasil' ka ho gae betab
kafan unhon ne bil-aKHir haTa ke dekh liya
(1148) Peoples Rate This