Masrur Ho Rahe Hain Gham-e-ashiqi Se Hum
masrur ho rahe hain gham-e-ashiqi se hum
kyun tang honge kashmakash-e-zindagi se hum
koh-e-alam uTha hi liya rah-e-ishq mein
apni KHushi ko chhoD ke teri KHushi se hum
lab-ha-e-yar ne to gulistan piro liye
KHushbu jo pa rahe hain teri pankhuDi se hum
apni bahaar dekh ke hairan rah gae
waqif hue hain jab se rumuz-e-KHudi se hum
meri jabin-e-shauq ko dar un ka mil gaya
uTh kar kahan ko jaen dar-e-bandagi se hum
rah-e-wafa mein ji ke mare mar ke bhi jiye
khela usi tarah se kiye zindagi se hum
daman ko tar-tar kiya manzilen milin
aaenge ab na hosh mein diwangi se hum
KHud dard ban gaya mera darman-e-zindagi
itna qarib ho gae kuchh dard hi se hum
jo maqsad-e-hayat ko bhule wahi kahen
tang aa chuke hain kashmakash-e-zindagi se hum
'wasil' ke dagh-e-dil se hai manzil ki raushni
warna nikal ke aate bhala tirgi se hum
(1052) Peoples Rate This